Pages

Friday, 29 March 2013

"Apne ehsas se choo ker mujhe sundel ker do"

apne ehsas se choo ker mujhe sundel ker do,
main sadeon se adhora haoun mukamil ker do,

na tumhain hosh rahe or na mujhe hosh rahe,
es qader toot k chaho, mujhe pagel ker do,

tum hateli ko mare pyar ki mehndi se rango,
apni aankh main mare nam ka kajel ker do,

es k saye main mare khwab dehak uthain gay,
mare chahre pe chamkta hoa aanchel ker do,

dhoop he dhoop houn main, toot k barso mujh per,
es qader barso mari roh main jal thal ker do,

jese sehraon main her sham hawa chalti hai,
es tarha mujh main chalo or mujhe thal ker do,

tum chupa lo mera dil oot main apne dil ki,
or mujhe mari nighaoun se bhi ojhal ker do,

apne ghum se kaho her waqat mare sath rahey,
aik ehsan kero os ko masel-sal ker do,

mujh pe chaa jao kisi aag ki sorat jana,
or mari zaat ko sokha howa jungel ker do.

Monday, 18 March 2013

Mard-e-momin by iqbal

Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!

Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan

Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!

 Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan

Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan
 

Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman


Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!